Thursday, May 1, 2025

Top 5 This Week

Related Posts

RCB Ka Hero Bana Villain? Rajat Patidar Ko Mila Match Ka Award, Par Katega 12 Lakh Ka Fine!

Wankhede Stadium, April 8: RCB ke naye skipper Rajat Patidar ne Mumbai Indians ke khilaaf 64 runs ki dhamakedar innings khelkar match ka ‘Player of the Match’ award toh jeet liya, lekin match ke baad unpe ₹12 lakh ka fine bhi thop diya gaya. Kya scene hai bhai?

IPL 2025 mein yeh pehla instance hai jab Patidar slow over rate ke liye penalize hue hain. Article 2.2 of IPL’s Code of Conduct ke tahat unko yeh fine mila hai. Aur interestingly, wo chauthe captain ban gaye hain jinko is season mein slow over rate ke liye saja bhugatni padi hai. Pehle se hi Rishabh Pant, Hardik Pandya aur Riyan Parag jaise naam is list mein shamil hain.

Innovation at its best! ❤ Rajat Patidar brings out some unorthodox shots against his opposite number 👀”
Updates ▶ IPL Official Tweet

RCB ne MI ke khilaaf 221 runs ka bada total defend kiya, jo ki unka pehla win tha Wankhede mein poore 10 saal baad! Patidar ne 32-ball 64 runs banaye, jisme 5 chaukke aur 4 chakke shamil the. Jitesh Sharma ke saath milkar unhone 27 balls mein 69-run ki zabardast partnership bhi ki.

“That was a really amazing match. Bowlers ne jo courage dikhaya, woh kamaal ka tha. To be honest, yeh award bowlers ko milna chahiye kyunki MI jaise batting unit ko rokna asaan nahi hota.” – Rajat Patidar at post-match presentation

“Fast bowlers ki execution top-notch thi. Krunal ki bowling especially last over mein, woh toh next-level thi. Plan yeh tha ki game ko deep le jayein aur KP ka ek over last mein use karein. Suyash Sharma jaise wrist spinner ka impact bhi huge tha.” – Patidar further added

RCB ab points table mein third spot pe hai, 4 matches mein 3 wins ke saath. Unka agla muqabla Delhi Capitals ke khilaaf hai April 10 ko, home ground par.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Popular Articles