Chennai Super Kings (CSK) ke fans ke liye IPL 2025 kisi nightmare se kam nahi raha. Aur ab, Suresh Raina ne is disaster ka asli zimmedar management ko bata diya hai – not MS Dhoni!
Star Sports pe baat karte hue, Raina ne khul kar kaha ki Dhoni ka auction process mein zyada role hi nahi tha. CSK management ne galat players uthaye, jiska nateeja aaj sab ke saamne hai – lagataar haar aur playoffs ki umeed almost khatam.
“Kashi sir aur Rupa ma’am cricket administration ko handle karte hain. Players kharidne ka kaam bhi unka tha, aur jo players laaye gaye, woh sahi nahi the,” Raina ne kaha.
CSK ne desperation mein pura squad try kar daala – 27 mein se 20 players field ho chuke hain. Dewald Brevis ka debut aur Ayush Mhatre ko opening me bhejna bhi kuch khaas kaam nahi aaya. Har cheez ke baawajood team ki haalat sudharne ka naam nahi le rahi.
“Log kehte hain ki MS Dhoni final call leta hai. Par main kabhi kisi auction meeting ka part nahi raha. MS ko sirf kuch players approve karne ke liye pucha jaata tha, par actual selection mein woh itne involved nahi hote,” Raina ne bataya.
Raina ne yeh bhi point kiya ki jab ek taraf 43 saal ke Dhoni apna pura dam lagaa rahe hain, toh dusre players ka dedication waisa nahi dikh raha.
“MS 43 saal ki umar mein wicketkeeping, captaincy sab kuch kar raha hai. Par baaki players? Jo crores mein payment le rahe hain, woh perform nahi kar rahe. Captain ki baat nahi sun rahe. Jeetne wali team ka yeh haal nahi hota,” Raina ne nishana saadha.
“Jo players Rs 18 crore, Rs 17 crore, Rs 12 crore kama rahe hain, unka ground pe impact nahi dikh raha. Same galtiyan baar baar repeat ho rahi hain. Yeh sochne ka waqt aa gaya hai – kya yeh players agle match mein bharosa ke layak hain?” Raina ne aur zyada khul kar bola.
Finally, Raina ne hint diya ki MS Dhoni khud aage aake major changes laa sakte hain CSK ke system mein. Aur woh apne aas-paas ki galat practices ko bardasht nahi karenge.
“Mujhe lagta hai MS Dhoni ab chup-chaap nahi baithega. Woh apna decision le chuka hoga. Toss ke baad jab unki body language dekhi, toh samajh aaya ki aaj kuch bada hone wala hai,” Raina ne conclude kiya.
Halanki abhi bhi CSK ke paas IPL 2025 mein kuch matches bache hain, par realistically unka playoff qualification almost impossible lag raha hai.