IPL 2025 mein kuch moments hote hain jo cricket ke history mein amar ho jaate hain — aur Vaibhav Suryavanshi ka yeh knock unmein se ek tha! Rajasthan Royals ke 14-year-old prodigy ne Gujarat Titans ke khilaaf ek record-breaking century thoki, jisne na sirf fans ka dil jeet liya, balki unke coach Rahul Dravid ko bhi apni wheelchair se uthne par majboor kar diya!
Match Details:
28 April 2025, Sawai Mansingh Stadium mein RR aur GT ka takkar tha. Target tha 210 runs ka. Jab sabko laga match tough hoga, tabhi aaya Vaibhav ka toofan!
35 balls mein Century!
Left-handed batter Vaibhav ne 17 balls mein apna half-century pura kiya, aur fir sirf 18 aur deliveries mein apna century complete kiya — ek khatarnak six ke saath Rashid Khan ke upar se deep mid-wicket par. Crowd toh deewana ho gaya, par jo sabse zyada shocking tha — Dravid khud wheelchair se uthkar standing ovation dene lage!
Rahul Dravid’s Cold Celebration When Vaibhav Suryavanshi Reached His 100 🥶💯
#vaibhavsuryavanshi #GTvsRR #RahulDravid
Records Toot Gaye Ek Saath:
- Youngest T20 half-centurion (pichla record: Hassan Eisakhil)
- Youngest T20 centurion (pichla record: Vijay Zol)
- Fastest IPL century by an Indian (35 balls, pehle Yusuf Pathan – 37 balls)
- 2nd fastest IPL century overall (Chris Gayle – 30 balls remains fastest)
Vaibhav ne 38 balls mein 101 runs banaye, jisme 7 fours aur 11 sixes shamil the. Yashasvi Jaiswal ke saath unka 166-run opening partnership sirf 11.5 overs mein bana, jisne match ka flow hi badal diya.
Prasidh Krishna ne Vaibhav ko finally bowl kiya, par tab tak damage ho chuka tha. Jaiswal ne bhi 70* runs (40 balls) ke saath finish kiya, aur RR ne match jeet liya 25 balls remaining ke saath — GT ko 8 wickets se hara diya.
Agla match RR ka May 1 ko Mumbai Indians ke khilaaf hai, wapas Sawai Mansingh Stadium mein. Kya Vaibhav fir se magic dikhayega? Wait and watch!