IPL 2025 ne ek naya superstar diya hai – 14 saal ke Vaibhav Suryavanshi. Rajasthan Royals ke is chhote se power-hitter ne Gujarat Titans ke khilaaf 35 balls mein century maarke na sirf match jeetwaya, balki IPL ke itihaas mein doosra sabse tezi se century banane wala player ban gaya.
Sawai Mansingh Stadium mein khela gaya ye match Vaibhav ke liye sirf ek innings nahi tha, balki unke struggle aur unki family ke balidan ka natija tha. 14 saal aur 32 din ki umar mein century maarna kisi sapne se kam nahi hai. Par is sapne ke peeche hai ek maa jo sirf 3 ghante soti hai aur ek papa jinhone apni naukri chhod di.
“Main jo bhi hoon, apne parents ki wajah se hoon. Meri maa raat ke 11 baje sone ke baad subah 3 baje uthti hain sirf meri practice aur khana banane ke liye. Papa ne apna kaam chhod diya hai. Bhai poora ghar sambhal raha hai. Par papa ne kabhi peeche nahi dekha, unka support sabse zyada hai.”
– Vaibhav Suryavanshi
RR ne 210 runs ka target sirf 25 balls aur 8 wickets ke bachaav mein chase kiya, lekin Vaibhav ka safar IPL tak pahuchne tak asaan nahi tha. IPL ke ek interview mein unhone apne coaches ka bhi shukriya ada kiya.
“Main India ke liye khelna chahta hoon aur jab tak wahan tak nahi pahuchta, main mehnat karna nahi chhod sakta. Desh ke liye kuch karna hai.”
– Vaibhav Suryavanshi
Unhone bataya kaise batting coach Vikram Rathour, team manager Romi Bhinder aur head coach Rahul Dravid ne unhe mauka diya aur bharosa dikhaya.
“Main kaafi time se is moment ke liye prepare kar raha tha. Trial ke time achha perform kiya, to Vikram sir aur Romi sir ne mujhe Rahul sir se milwaya. Rahul Dravid jaise legend ke saath training milna mere liye sapna pura hone jaisa hai. Senior players bhi hamesha support karte hain. Mujhe pressure mehsoos hi nahi hota, kyunki sab motivate karte hain.”
– Vaibhav Suryavanshi
“Talent meets Opportunity 🤗 He announced his arrival to the big stage in grand fashion 💯 It’s time to hear from the 14-year old Vaibhav Suryavanshi ✨”
– Watch the full interview here
Ek taraf jahan duniya Vaibhav ke shots ki tareef kar rahi hai, wahin doosri taraf unke ghar ka har ek member unke sapne ko jeene mein laga hai. Yeh sirf ek innings nahi thi, yeh tha ek parivaar ka sapna jise ek 14 saal ke bacche ne poora kiya.