IPL 2025 mein Chennai Super Kings (CSK) ka season jaldi khatam ho gaya, lekin Dhoni ke team ne ab bhi hope nahi chhodi hai. Team ne mid-season trials ke liye kuch naye naam bulaye hain — aur inme sabse bada naam hai India ke fastest T20 centurion Urvil Patel.
Urvil ke saath, Mumbai ke all-rounder Aman Khan aur Kerala ke batter Salman Nizar bhi 27 aur 28 April ko Chennai mein hue trials ka hissa rahe. Yeh trials CSK ke future plans ka ek important part hai, especially jab team pehle hi IPL 2025 ke playoff race se bahar ho chuki hai.
“I’ve heard, I’ve got back room news that CSK have called Urvil Patel, the guy who got a couple of hundreds in the Mushtaq Ali Trophy. I’m surprised that he was not picked by any franchise,”
“I was surprised. Even Ayush Mhatre was picked ahead of him. He’s been asked to trial there, so I don’t know what’s cooking there,”
Urvil Patel ne apni trial performance se sabka dil jeet liya. Pehle innings mein 20 balls mein 41 runs, jisme 2 sixes the, aur doosri innings mein sirf 20 balls mein half-century — is baar 3 sixes ke saath. CSK ke kuch players bhi trial ke dauraan maujood the aur unhone Urvil ki batting ki khule dil se tareef ki.
Urvil ne Syed Mushtaq Ali Trophy 2024-25 mein 28 balls mein century maar kar record banaya — fastest T20 hundred by an Indian. Pure tournament mein unhone sirf 6 matches mein 315 runs banaye with a jaw-dropping strike rate of 229.92. Phir bhi, ab tak unhe IPL mein kisi team ne pick nahi kiya.
Urvil ke alawa, Aman Khan — jinhone pehle KKR aur DC ke liye khela hai — ne bhi apne trials mein do zabardast sixes maare. Salman Nizar, jo Kerala ke liye Ranji Trophy mein consistently perform karte aa rahe hain, abhi IPL debut ka intezar kar rahe hain.
CSK ka agla match Royal Challengers Bengaluru (RCB) ke against 3 May ko M Chinnaswamy Stadium mein hoga. Dekhna yeh hoga ki kya yeh naye chehre team ke future plans mein jagah bana paate hain.