RCB vs DC: Toss ka faida kisne uthaya?
Delhi Capitals (DC) aur Royal Challengers Bengaluru (RCB) ke beech IPL 2025 ka ek aur blockbuster match hone ja raha hai Arun Jaitley Stadium, Delhi mein. RCB ke stand-in captain Rajat Patidar ne toss jeet kar pehle bowling karne ka decision liya.
Captain ka kya kehna tha toss ke baad?
Rajat Patidar (RCB): “Hum pehle bowl karenge. Pitch kaafi achhi lag rahi hai batting ke liye aur zyada badlav aane ki ummeed nahi hai. Humein chase karna pasand hai. Hamare home ground par pehla match jeeta hai, aur momentum banaye rakhna chahte hain. Har match mein kuch naya seekh rahe hain. Bethell aaya hai Salt ki jagah.”
Axar Patel (DC): “Toss harne ka bhi apna fayda hota hai, lekin agar hum jeet te, toh batting hi karte. Peechle match mein dew nahi tha, lekin Mumbai ke khilaf dew tha. Do foreign batters unke paas hain, unke khilaf bowling karna chahta tha. Main achhi rhythm mein bowling kar raha tha, isiliye continue kiya. Faf wapas aa gaya hai, aur impact player situation ke hisaab se decide hoga.”
RCB ki Playing XI:
- Virat Kohli
- Jacob Bethell
- Rajat Patidar (c)
- Jitesh Sharma (wk)
- Tim David
- Krunal Pandya
- Romario Shepherd
- Bhuvneshwar Kumar
- Suyash Sharma
- Josh Hazlewood
- Yash Dayal
Impact Players: Devdutt Padikkal, Liam Livingstone, Rasikh Dar Salam, Manoj Bhandage, Swapnil Singh
DC ki Playing XI:
- Faf du Plessis
- Abishek Porel
- Karun Nair
- KL Rahul (wk)
- Axar Patel (c)
- Tristan Stubbs
- Vipraj Nigam
- Mitchell Starc
- Dushmantha Chameera
- Kuldeep Yadav
- Mukesh Kumar
Impact Players: Ashutosh Sharma, Mohit Sharma, Jake Fraser McGurk, Madhav Tiwari, Tripurana Vijay
Pitch Report: Scoring ya Spin?
“Boundary kaafi choti hai — ek taraf 66 meters, doosri taraf 58 meters, aur straight 71 meters. Pitch kaafi dry lag rahi hai, grass nahi ke barabar hai. Mumbai ke khilaf match mein 4.1 degrees ka turn mila tha. Fast bowlers ke liye zyada madad nahi hai,” analysis diya Graeme Swann aur Aaron Finch ne.
RCB vs DC Head-to-Head
Aaj tak IPL mein RCB aur DC ke beech 32 matches</strong hue hain. RCB ne 19 baar jeet hasil ki hai jabki DC sirf 12 baar jeet payi hai. Ek match no result mein khatam hua.
Is baar kis taraf hoga jeet ka jhukaav? Kya RCB apne bowling decision ka fayda utha paayegi ya DC karegi dhamaka? Match updates ke liye jude rahiye!